Showing posts with label 4 line Poetry. Show all posts
Showing posts with label 4 line Poetry. Show all posts

Hum Ne Waqt Se Bohat Wafa Ki Lekin

Hum Ne Waqt Se Bohat Wafa Ki Lekin

Waqt Hum Se Bewafai Kar Gaya

Kuch Hamara Naseeb Bura Tha

Kuch Logon Ka Hum Se Jee Bhar Gaya... 
Continue Reading...

Wafaa, Ekhlaas, Qurbaani, Muhabbat

Wafaa, Ekhlaas, Qurbaani, Muhabbat

Ab In Lafzon Ka Peecha Kiun Karen Hum

Hamari Hi Tamanna Kiun Karo Tum

Tumhari Hi Tamanna Kiun Karen Hum...
Continue Reading...

Preshaan Ho K Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye

Preshaan Ho K Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye

Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye

Kabhi Chori Hui Manzil Bhi Yaad Ati Hai Raahi Ko

Khatak Si Hai Jo Seenay Me Gham-e-Manzil Na Ban Jaye...

Continue Reading...

Mera Seedha Saadha Mizaaj Tha

Mera Seedha Saadha Mizaaj Tha

Mujhe Ishq Hone Ki Kya Khabar

Tere Ek Tabassum-e-Naaz Ne

Mere Sary Zauq Badal Diye...

Continue Reading...

Ajab Hain Rastay Mere K Chalna Bhi Nahi Mumkin

Ajab Hain Rastay Mere K Chalna Bhi Nahi Mumkin

Zara Thokar Jo Lag Jaye Sanbhalna Bhi Nahi Mumkin

Bohat Na-Kaamiyan Le Kar Hua Hun Khaak Ka Qaidi

Chalo Ab Aaj Se Ghar Se Nikalna Bhi Nahi Mumkin...
Continue Reading...

Jurm-E-Sukraat Se Hat Kar Na Sazaa Do Hum Ko

Jurm-E-Sukraat Se Hat Kar Na Sazaa Do Hum Ko

Zeher Rakha Hai To Ye Aab-E-Baqaa Na Do Hum Ko

Hum Haqeeqat Hain To Tasleem Na Karne Ka Sabab?

Han Agar Harf-E-Galat Hain To Mita Do Hum Ko...

Continue Reading...

Wo Roya To Bohat Par Mujhse Muh Mor Kar Roya

Wo Roya To Bohat Par Mujhse Muh Mor Kar Roya

Koi Majboori Hogi Jo Dil Tor Kar Roya

Mere Samny Kar Diye Meri Tasveer K Tukray

Pata Laga Mere Pechy Wo Unhe Jor Kar Roya...
Continue Reading...

Aatish-E-Ishq Se Khailo Ge To Jal Jao Ge

Aatish-E-Ishq Se Khailo Ge To Jal Jao Ge

Abhi Moqa Hai Meri Jaan Sambhal Jao Ge

Tum Na Badlo Ge Kabhi Aaj To Ye Kehte Ho

Sach To Ye Hai K Kabhi Tum Bhi Badal Jao Ge...
Continue Reading...

Saleeb-E-Sang Pe Likha Mera Fasaana Gaya

Saleeb-E-Sang Pe Likha Mera Fasaana Gaya

Me Rahguzar Tha Mujhe Rond Kr Zamana Gaya

Main Aik Doltaa Saagar Mujhe Uthaata Kon

Ghataa Utha K Chali Thi Magar Chala Na Gaya...
Continue Reading...

Meri Qismat Main Andhere Hi Muqaddar Hain Agar

Meri Qismat Main Andhere Hi Muqaddar Hain Agar

Jane Hasrat Ki Shaam Aas Jalaati Kiun Hai

Khatam Kar De Ye Safar Jab Koi Manzil Hi Nahi

Zindagi Roz Nayyi Raah Dikhaati Kiun Hai...
Continue Reading...

Wafa Ki Jung Matt Larna Bohat Be-Kaar Jati Hai

Wafa Ki Jung Matt Larna Bohat Be-Kaar Jati Hai

Zamaana Jeet Jata Hai Mohabbat Haar jati Hai

Hamara Tazkara Choro Hum Aise Log Hain Jin Ko

Mott Kuch Nahi Kehti Tanhai Maar Jati Hai...

Continue Reading...

Wo Mere Dil K Zakhm Seeny Bhi Nahi Deta

Wo Mere Dil K Zakhm Seeny Bhi Nahi Deta

Mad-hosh Bhi Rakhta Hai Peeny Bhi Nahi Deta

Kya Meri Wafaaon Ki Itni Kadi Saza Hai

Marne Se Rokta Hai Aur Jeene Bhi Nahi Deta...
Continue Reading...

Wo Hamary Paas Bethe Hain Kaho Lamho Se Tham Jaen

Wo Hamary Paas Bethe Hain Kaho Lamho Se Tham Jaen

Kabhi Bhi Door Nazron Se Na Wo Jaen Na Hum Jaen

Ajab Hain Khail Muhabbat K Suno Neenden Nahi Ati

Kisi K Khawab Ankhon Me Agar Bachpan Se Jam Jaen...
Continue Reading...

Me Gurezaan Hun Mohabbat Se To Sabab Kuch Or Hain

Me Gurezaan Hun Mohabbat Se To Sabab Kuch Or Hain

Warna Hai Kon Jo Chaahat Ka Talab-Gaar Nahi

Me To Sarapa-e-Mohabbat Hun Magar Phir Bhi

Mujhe Is Lafz Mohabbat Ka Aitbaar Nahi...
Continue Reading...

Me Ne Is Tor Se Chaha Tujhe Aksar Jana

Me Ne Is Tor Se Chaha Tujhe Aksar Jana

Jese Mahtaab Ko Be-Ant Samundar Chahe

Jese Sooraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utray

Jese Khushbu Ko Hawa Rang Se Hatt Kr Chahe...
Continue Reading...

Bheegi Hui Ek Shaam Ki Dehleez Pe Bethe

Bheegi Hui Ek Shaam Ki Dehleez Pe Bethe

Me Dil K Sulagne Ka Sabab Soch Raha Hun

Duniya Ki To Aadat Hai Badal Leti Hai Ankhain

Me Us K Badalne Ka Sabab Soch Raha Hun...
Continue Reading...

Yahan Behtar Hai Apni Zaat Ka Hamdard Ho Jana

Yahan Behtar Hai Apni Zaat Ka Hamdard Ho Jana
Zamana Gham To De Sakta Hai Gham-Khawari Nahi Karta

Mujhe Moqa Shanasi Ka Hunar Aya Nahi Ab Tak
Jahan Matlab Nikalta Ho Samajhdari Nahi Karta...

Continue Reading...
© Copyright 2013. RddTeem. All Rights Reserved. -- Designed by: www.mp3custom.blogspot.com -- Powered by the Blogger